Bachapan har gham se begaana hota hai
Bachapan har gham se begaana hota hai
Janam ka subh din har din se suhana hota hai
Bachapan har gham se begaana hota hai
Koi fiqr na chinta, masti ka aalam
Jeevan khel sa lagata hai
Sukh milate hain raahon me phir ke
Ghar to jel saa lagata hai
Ho isi umar men khushiyon ka khazaana hota hai
Bachapan har gham se begaana hota hai
Bachapan har gham se begaana hota hai
Ham dhoondhate hain jivan bhar vo khushiyaan
Bachapan men jo paate hain
Vo hansate hue din,gaati vo raaten
Laut kar phir nahin aate hain
Ho yaadon ke saae me waqt bitaana hota hai
Bachapan har gham se begaana hota hai
Hota hai bachapan har gham se begaana hota hai
Hota hai bachapan har gham se begaana hota hai.