Ye Qismat Hai Kya(Sad) Lyrics | Ghar Ka Chiraag

                        
                        har dua ek baddua kyu ban gayi, pal me yaha
bewafa kismat bhi, uth gaya sar se aasma

ye kismat hai kya, jaanta hai wahi
zamane me hai jiski kismat buri

aadmi khud ko insa bana na saka
apni kismat banayega kya aadmi
ye kismat hai kya, jaanta hai wahi
zamane me hai jiski kismat buri

ye kismat hai karti ajab faisle
yaha milke sab kuch bhi, kuch na mile
bhatkti hai yu darbadar zindagi
ke marke bhi insan, mar na sake
ye kismat hai kya, jaanta hai wahi
zamane me hai jiski kismat buri

ek thokar lagi, tuta sara nasha
ab hai jana kaha, kuch nahi hai pata
laake kismat ne chhoda hai, kis mod par
jo musafir tha khud, ban gaya raasta
ye kismat hai kya, jaanta hai wahi
zamane me hai jiski kismat buri
aadmi khud ko insa bana na saka
apni kismat banayega kya aadmi.