aayi hai
aayi hai kiran se bahare, gulshan jhum utha
khushiya khadi hai, baandhe katare
jivan jhum utha
koi nahi duniya me
o koi nahi duniya me, pyari maa ke barabar ka
na ghar ka na bahar ka, o koi nahi duniya me
bujhi huyi mamta ka deepak jalane
phir ek devi aayi hai
uske nicchhal naino me sneh ki
ganga si lahrayi hai
ganga si lahrayi hai, is gangajal me
o is gangajal me, dukh bhulega antar ka
na ghar ka na bahar ka, o koi nahi duniya me
lagta nahi tere aane se pahle
koi meri maa hogi
hogi bhi to tere jaisi mamtamayi na hogi
aisi mamtamayi na hogi
maiya tu to mere liye
o maiya tu to mere liye, vardan hai ishwar ka
na ghar ka na bahar ka, o koi nahi duniya me
pyari maa ke barabar ka, na ghar ka na bahar ka
o koi nahi duniya me