Chhoti Raani Doobi Rahe Saaj Singaar Mein Lyrics | Ghar Ki Laaj

                        
                        chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
majhli rani khoyi rahe, lakshmi ke pyar me
pati dev taare gine, apni apni biwiyo
ke intzaar me
chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
meri rani dubi rahe
majhla bhaiya chalak chatur
badka sidha sadha
meri kya baat kahu, main nawabjada
koi hai mere jaisa
majhla bhaiya chalak chatur
badka sidha sadha
meri kya baat kahu, main nawabjada
haar jeet apni to hai
race in ghodo ki jeet haar me
chhoti rani ae
chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
meri rani dubi rahe

majhli rani naach naach ke figure banaye
chhoti rani naache nahi magar nachaye
majhli rani naach naach ke figure banaye
chhoti rani naache nahi magar nachaye
mere jaisa saccha nahi
koi meri begum ke vichar me
chhoti rani ae
chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
meri rani dubi rahe

o nit naye sapno ke mahal bana ke
biwi ko dikhau chanda chhat pe chadhake
nit naye sapno ke mahal bana ke
biwi ko dikhau chanda chhat pe chadhake
khushi se wo phuli rahe phuli rahe
baato ke chamatkar me
chhoti rani ae
chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
majhli rani khoyi rahe, lakshmi ke pyar me
pati dev taare gine, apni apni biwiyo
ke intzaar me
chhoti rani dubi rahe, saaj singar me
majhli rani khoyi rahe