gham dene wale dene ko gham beshumar de
sahne ko sath sath magar dil hazaar de
gham dene wale dene ko gham beshumar de
sahne ko sath sath magar dil hazaar de
gham dene wale dene ko gham beshumar de
katre ko kah raha hai samunder ko pee ke dekh
katre ko kah raha hai samunder ko pee ke dekh
har roj dil pe teer bitha aur jee ke dekh
har roj ki ye maut na de ek baar de
gham dene wale dene ko gham beshumar de
kuch haadse the jinko diya zindagi ka naam
kuch haadse the jinko diya zindagi ka naam
jo din diya wo raat tha
jo subah thi wo sham
jo din diya wo raat tha
jo subah thi wo sham
kisne kaha tha tujhse ujdi bahar de
gham dene wale dene ko gham beshumar de
khushiyo ko hukum hai ke na dil me samaye wo
khushiyo ko hukum hai ke na dil me samaye wo
ashqo pe hai ye kaid na aankho me aaye wo
hansna nahi to rone ka hi ikhtiyaar de
gham dene wale dene ko gham beshumar de
hansna nahi to rone ka hi ikhtiyaar de
hansna nahi to rone ka hi ikhtiyaar de
hansna nahi to rone ka hi ikhtiyaar de
ikhtiyaar de