Aye Muqaddar Mujhpe Itni Lyrics | Ghayal

                        ae mukaddar mujhpe itni kisliye narajiya
le rahi hai kyu teri tirchhi najar andaiyan
ae mukaddar, ae mukaddar mujhpe itni kisliye narajiya

ae mukaddar

chal pada hun main akela aur na manjil ka pata

har kadam par rokti hai kyu mujhe nakamiyan
har kadam par rokti hai kyu mujhe nakamiyan
ae mukaddar

kya kahun kisse kahu, kaise kahun kya dil me hai

sunke hans dega jamana aansuo ki kahaniya
sunke hans dega jamana aansuo ki kahaniya
ae mukaddar

ae daro diwar, ae daro diwar tum
kisliye haale-taba
pad gayi kya tumpe bhi ro ro meri parchhaiyan