Welcome Entertainment Lover’s

Ek Thi Punyakoti Hai Lyrics | Godhuli

                        
                        is dhara pe ek sundar
desh karna natak jaha par
ek tha kalingwala hai usi ki ye katha
ped niche baith jata
jhum kar bansi bajata
nam lele kar bulata
prem se har gaay ko
aa ri ganga gauri aaja
tung bhadra tu bhi aaja
punay koti maa aaja
aa ri shyama tu bhi aa
bol sun gwale hat
sab aa khadi hoti nikalt
wo dudh duhane baithta
to pal me bhar jate ghade
ek thi maa punya koti
hai usi ki ye katha

pas parvat ki goofa me
us ghane jungle me koi
bagh rahta tha bhayanak
bagh tha bukha bada
ghath me tha wo jhapat ke
bich kuda jo garaj ke
dar gayi gaay achanak
aur bhagi pran le
lad bachde ko ladau
dudh jate hi pilau
laut kar ghar ja rahi thi
punay koti sochti
lo mila aahar mujhko
soch man me bagh usko
gher aadhe raste me
ho gaya giri sa khada
ek thi maa punya koti
hai usi ki ye katha

bhukh se bola tadap ke
mai padunga tut tujhpe
aur tujhko niche girake
phad khaunga abhi
jodti hu hath tere
lal bhukha raah dekhe
dudh fauran mai pilake
laut aaungi yaha
pran du na vachan jaye
satya hi maa bap bhai
jo vachan tode us par
parbhu nahi karti kripa
ek thi maa punya koti
hai usi ki ye katha

lal baitha bagh bhukha
mai vachan de lautne ka
isliye aayi ke tujhko
aankh bhar kar dekh lu
dudh mai kiska piunga
bola kisko maa kahunga
mai anath sa jiunga
kaun dega aasra
o mere bachpan ki sakhiyo
ek vinti meri suniyo
ye hua bemaa ka
isko lal apna janiyo
sing aage taniyo na
lat piche mario na
is abhage ko tum apne
lal jaisa janiyo
ek thi maa punya koti
hai usi ki ye katha

der na ho soch man me
gay bachde se bichad ke
jhat gufa ke dwar pahuchi
aur boli bagh se
pesiya lo maas bhi lo
lo jigar ka khun pee lo
lo mita lo bhukh apni
aur bhai khush raho
bhukh bhula zindagi me
bagh pahli bar roya
mai agar maru ise
to mujhe dhikkar hai
dhanya hai tu bahan meri
mai na lunga jan teri
ye kaha upar se kuda
pran usne tjag diye
ek thi maa punya koti
hai usi ki ye katha
nam hari har karishan ka le
har makar shakaranti ko
vansh dhar puje jo mujhko
puran ho har kamna
jo bhi sun le is katha ko
puran ho har kamna