vasudev devki karagar mein bandi the
unke pehre par raksas gan savachhandi the
ashtmi bhadr pad ki thi raat andheri thi
jab daya dhram ki gunj uthi ran bheri thi
us samay liya awtaar katha ye bahut purani hai
go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai
krishn ki amar kahani hai
ek kiran aashiki ardh raatri mein chhut gayi
bandi garh ki srinkhala savyam hi tut gayi
bhgwan ki lila suno ki ye amrit ki baani hai
go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai
krishn ki amar kahani hai
raat andheri ghatao ne gheri
raat andheri ghatao ne gheri
jamuna mein baadh ka jal uchhle
mathura se gokul shyam sundar ko
sar pe liye vasudev chale raat andheri
lila dikhai baal gopal ne
hilne lage shri chran kamal
jisko chhu kar shish nawa kar
shant huaa jamuna ka jal
shant huaa jamuna ka jal
shant huaa jamuna ka jal
gend gira na kalindi mein
gwaal baal ki chaal hai
aaj kaliye naag ke aage
kaal bana gopal hai
funkar raha nathno se
fan khole atyachari
uske fan ko nath ke dekho
banshi bajate wanwaari
funkar raha nathno se
fan khole atyachari
uske fan ko nath ke dekho
banshi bajate wanwaari
bole nand yashoda chintit
dukhiya sab gokul waasi
upar laye dusht naag ko
upar laye dusht naag ko
uske fan ko laga faasi
kalinda mardan huaa katha jani pehchani hai
go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai
pawan jo ganga jamuna ka nirmal paani hai
go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai
krishn ki amar kahani hai
gwaal baal sang lila jiski badi suhani hai
go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai
krishn ki amar kahani hai
krishn ki amar kahani hai