Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaye phir juda
Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaye phir juda
Chahat ke sab afsane, dil jinko sach hi mane
Ban ke woh reh jate hai ek ansuni sada
Ho kyun dekhe hamne chahat ke sapne
Ye dil sochta hai aur rota hai jaar jaar
Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaye phir juda
Ye duriya dil ki, majburiya dil ki
Sach hai magar phir bhi mane naa dil mera
Bhigi si aankho me, suni si raho me
Ham le chale hain kitni yado kaa karva
Ho abb mann hi mann me, divanepan me
Dil sochta hai aur rota hai jaar jaar
Jab dil churaye koyi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaye phir juda
Jab dil churaye koyi
Hai ha ha ha ha ha
Dil me tamanna hai, dil me irade hain
Khwabo ke mele lekar jaye bhi toh kahan
Kuchh tum naa keh sake, kuchh ham naa keh sake
Jane kyun ho jati hai khamosh yeh juban
Ho kya dil ko ho gaya, kya dil ka kho gaya
Dil sochta hai aur, rota hai jaar jaar
Jab dil churaye koyi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaye phir juda
Chahat ke sab afsane, dil jinko sach hi mane
Banke woh reh jate hai ek ansuni sada.