Phir jodein milke,
Woh tukde dil ke,
Bikhre pade jo yahan..
Kal tum the, hum the,
Raahein woh jin pe,
Koyi nahi ab wahan..
Yeh saasein keh rahin tumse,
The inka dil to bas tum the,
Tumhi ne tha diya jeena,
Tere bin hum zara kam the..
Tera humko bhula dena,
Hansa ke phir rula dena,
Mujhe manzoor hai jo bhi..
Mile tumse, ho mile tumse,
Apna bana ke aise door jaana tera,
Yaadon se mila ke mujhe bhool jaana tera,
Jaane kitni dafaa manaya hai maine tujhe,
Phir kyun juda hai mujhe yeh batana zara,
Kabhi tum khwaab hote the,
Meri neendon mein sote the,
Meri aankhon se haste the,
Meri aankhon se rote the..
Tera humko bhula dena,
Hansa ke phir rula dena,
Mujhe manzoor hai jo bhi,
Mile tumse, ho mile tumse..
Mile tumse..
Kisko pata tha kabhi aise nazdeekiyan,
Aayengi liye raaston mein sau dooriyan..
Jaane kyun teri woh jagah aasuon ne hai li,
Rehta tha banke jahan tu kal khwaab sa..
Ghulne lagi ab shaamon apni kahaniyan,
Aur phir hai kahin tun aur main kahin..
Yeh saasein keh rahin tumse,
The inka dil to bas tum the,
Tumhi ne tha diya jeena,
Tere bin hum zara kam the..
Tera humko bhula dena,
Hansa ke phir rula dena,
Mujhe manzoor hai jo bhi,
Mile tumse, ho mile tumse..
Mile tumse..
Aaahhhh….aaahhhh…