Welcome Entertainment Lover’s

Aaj Sabhi Ke Nam Ye Sandesh Hai Lyrics | Harishchandra Taramati

                        
                        aaj sabhi ke naam ye sandesh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai
ati karo mat rota mera desh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai

jeeti sena me bhi ghayal
haari sena me bhi ghayal
jeeti sena me bhi ghayal
haari sena me bhi ghayal
bharat ke bachho ne chira
bharatmata ka hi aanchal
tan ka kalapan hansta hai
man ki sundarta roti hai
tuti chudi ye puchh rahi
sabhyata kaha par soti hai
sindur kisi ka zakhmi hai
aur maang kisi ki suni hai
lasho ke kale jungle me
muskane wala khuni hai
ujad gaya hai sapna aansu bhesh hai
ati karo mat rota mera desh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai

jab shankh ghrina ka bajta hai
tab ro deti shahnayi hai
aadarsh dhare rah jate hai
chhidti jis samay ladayi hai
is rajniti ke khemo me
abhinay jyada jivan hai kam
ye dhokhe malwe se uthte hai
prashn aur girte hai hum
jo andhkal ke ghode the
pairo me suraj baandhe hai
apne vinash ke kandhe par
apni hi arthi laade hai
suraj ki vardi me jugnu pesh hai
ati karo mat rota mera desh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai

kya jaati sipahi ki hoti
khuni ka hota dhram kaha
kya jaati sipahi ki hoti
khuni ka hota dhram kaha
jis par pagalpan chadhta hai
usme rah jati shram kaha
hathiyar hath me aaya to
wo jude huye ko katega
jaisi uski marji hogi
sari duniya ko baantega
sabhyata jise swaikar nahi
pachhta se jiska nata hai
jungle se aaya tha manav
phir se jungle me jata hai
dhul me milta rishiyo ka aadesh hai
ati karo mat rota mera desh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai

ye dhwaja humari jhuthi hai
ye jai jaikar tamasha hai
hathiyar bhale ho sunder par
uski zehrili bhasha hai
kya ek nahi ho sakte hum
kya nek nahi ho sakte hum
kya jalte maathe ka chandan
abhishek nahi ho sakte hum
aao lautalo ye jag ko
sangin maut ke dware se
kuch baat aman ki bhi kar le
manavta ke hathiyare se
atyachari hai sadhu ka bhesh hai
ati karo mat rota mera desh hai
aaj sabhi ke naam ye sandesh hai