Mandir mein aaya hai
Dukhiya ka koi laal
Mandir mein aaya hai
Dukhiya ka koi laal
Teri bhi maa roye to
Kya hoga tera haal
Mandir mein aaya hai
Dukhiya ka koi laal
Mandir mein aaya hai
Taro se bhara gagan
Phoolo se bhara chaman
Taro se bhara gagan
Phoolo se bhara chaman
Koi bhi sath nahi
Kuch mere hath nahi
Mera man tut raha
Dhiraj bhi chhut raha
Yeh kaisi maya hai
Parbhu yeh kaisi maya hai
Kaisa hai yeh tera jal
Teri bhi maa roye to
Kya hoga tera haal
Mandir mein aaya hai
Dukhiya ka koi laal
Mandir mein aaya hai
Rani ho ya cheri
Phir bhi hai maa meri
Rani ho ya cheri
Phir bhi hai maa meri
Uska hi dhud piya
Ab wo hi hai dukhiya
Sahne ki hai sima
Tera rath kyu dhima
Main maa ka aasu hu
Parbhu main maa ka aasu hu
Aur tu mera rumal
Teri bhi maa roye to
Kya hoga tera haal
Mandir mein aaya hai
Dukhiya ka koi laal
Mandir mein aaya hai
Meri kya hai ginti
Chhoti si hai vinti
Ro raha khilona hai
Aage kya hona hai
Yeh bhed jara tu khol
Nirmohi kuch to bol
Andhiyara chhaya hai
Tuhi hai ek mashal
Tuhi hai ek mashal
Tuhi hai ek mashal
Tuhi hai ek mashal.