Welcome Entertainment Lover’s

Dharm Ki Khatir Bik Gaya Raja Lyrics | Harishchandra Taramati

                        
                        pran jaye par wachan na jaye atal ye jinki wani
itihaso me sada rahegi unki amit nishani
dharam ki khatir bik gaya raja bik gayi dekho rani
ye amar rahegi kahani ye amar rahegi kahani
haste haste rakh di inhone jwala me jindgani
ye amar rahegi kahani ye amar rahegi kahani

apni jholi dukh se bhar li sukh dunia ko bate
sare jag ko phul lutaye khud apnaye kate
khud apnaye kate dhanya hai apna desh ke
jisme janme aise prani ye amar rahegi kahani
ye amar rahegi kahani dharam ki khatir bik gaya raja
bik gayi dekho rani ye amar rahegi kahani

has has taramati sati ne jheli dukh ki jwala
kathin kaal ke jhoke sah kar bhi pati ka pranpala
pati ke pran ko pala par jab aati yad piya ki
nain se jharta pani ye amar rahegi kahani
ye amar rahegi kahani dharam ki khatir bik gaya raja
bik gayi dekho rani ye amar rahegi kahani

raj bhi choda desh bhi choda lekin satya na choda
harishchandar ne dukh ke path par
jiwan ka rath moda jiwan ka rath moda
patni bichdi beta bichda fir bhi har na mani
ye amar rahegi kahani ye amar rahegi kahani
dharam ki khatir bik gaya raja bik gayi dekho rani
ye amar rahegi kahani ye amar rahegi kahani.