dil sunta hai teri sada, aa ru ba ru ab to zara
bechain si meri zindagi sunn kar teri yeh dastaan
jeena mera aasan kar, tu mil ke yeh ehsaan kar
kahin kho gaya chaino sukun tere dard ko ab jaan kar
jaaniya o jaaniya bas roye dil mera
aasu palko pe nahi hai bewajah
dil hai gum sada jaaniya
tujhe pa liya ya kho diya iss baat par dil ro diya
ke chaah kar tu naa aa sake, tu waqt hai guzra hua
tujhe rakh liya in yaado ne ik phool sa kitabo me
iss dil me tu rahega sada aur mehkega inn sanso me
rato me tu jal jata hai, chehre me tu dhal jata hai
tara hai tu mujh me toota sa
nindo me se jaga deta hai, palko ko bhigo deta hai
dariya hai tu mujh me dooba sa
har waqt khwabo ki tarah tu aata raha
jaaniya o jaaniya din kya raat kya
aahat ho koi lagta hai sada ke tu hai waha jaaniya
jaaniya o jaaniya bas roye dil mera
aasu palko pe nahi hai bewajah
dil hai gum sada jaaniya.