Neele neele aasman tale khwab ke ho kafile
Chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
Suraj chand ke pare pariyo kaa pata mile
Chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
Jaha par shokh lehre ho
Arsa hi kuchh dopahare ho
Daude bhigi reto par thandi rat me
Ghutano bhar samundar nap le
Tere hi sang mein
Neele neele aasman tale khwabo ke ho kafile
Chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
Pairo mein sipi ho aankho mein moti
Sagar se sikho toh khwahish kya hoti
Suraj kaa jewar hai subaha ke mathe
Ghunghat naa yeh karde keh do badal se
Dekho oss ki bunde palke apani munde
Hai ek aisi duniya jahan khushiya naa dhale
Aao aaj usko dhund le
Tere hi sang mein neele
Neele aasman tale khwabo ke ho kafile
Chalo aisi jagah chale aisi jagah chale
Din doobey roshan ho jhilmil yeh tarein
Sab mein ek sapna hain sach honge sare
Rato kaa andhiyara hamse kehta hain
Baitho toh mere ghar chanda rehta hain
Tum sang khwab pura hain
Tum bin sab adhura hain
Chahe abb yeh duniya mile ya naa mile
Maine toh saja li hain dil mein
Tere hi sang mein
Neele neele aasman tale khwabo ke ho kafile
Chalo aisi jagah chale aisi jagah chale.