ham naujawan ham naujawan
jindagi ke paas ham pyaar ka ehsaas ham
aaj ka vishwas ham kal ke itihaas ham
o jindgi ke paas ham kal ke etihaash ham
aaj ka vishwas ham kal ke itihaas ham
chahten hai jis tarah ham jiyenge us tarah
ham naujawan ham naujawan
muskura de ham agar rasta ruk jayega
ham jhuka de aankh to ye jahan jhuk jayega
muskura de ham agar rasta ruk jayega
ham jhuka de aankh to ye jahan jhuk jayega
ho keshuon ki kaid me hai hoke bhi aajad ham
ham naujawan ham naujawan
ao jis tarah sangit hai aatma ke waste
jindgi ke waste ilm ke ye raste
ek hai deepak yahan ek hai jyoti yahan
ek hai hira yahan dusra moti yahan
haar inka pahan lo jodkar dono ko tum
ham naujawan ham naujawan
na yahan koi bhala na yahan koi bura
jiska rasta hai galat bas hai wo bhatka hua
na yahan koi bhala na yahan koi bura
jiska rasta hai galat bas hai wo bhatka hua
chal ke sidhi raah par ham chand ko chhulenge ham
ham naujawan ham naujawan