Welcome Entertainment Lover’s

Sunojee Dulhan Ek Bat Sunojee Lyrics | Hum Saath Saath Hain

                        
                        sunoji dulhan ek bat sunoji
apne naye parivar se miloji

tumhe milaye sabse aaj suno sunaye sabke raj
haay tumhe milaye sabse aaj suno sunaye sabke raj
pehle dulhan tum inse miloji
ghar ke mukhiya tumhare sasurji
jinke sar pe sukho kaa taj dekho jara inka andaj
han jinke sar pe sukho kaa taj
dekho jara inka andaj
rampur kaa vasi hu mai ramkishan hai naam
sidhi sadhi boli meri sidha sadha kaam
ho jo bhi chaha maine ho rab se wo paya maine
rampur kaa vasi hu mai ramkishan hai naam
desh bidesh ghumkar aaya mai bhayi
ho mehak gaon ki mitti ki naa bisrayi
wahi gud chana dudh nashte me bhaye
ho chhuri aur kante se khana naa aaye
itne par bhai ho itne par bhi hai nayi techniko
ko pyar se sikha maine rampur kaa vasi
hu mai ramkishan hai naam
sidhi sadhi boli meri sidha sadha kaam
aao dulhan abb inse miloji
ye hain tumhari sasu maji
ghar me chalta inka raj inka khas hai ek andaj
han ghar me chalta inka raj inka khas
hai ek andaj
meraa nam mu mu mu mu
mu mu aha mu mu mu
tin titliya meri yar mujhe partiyo se hai pyar
wah wah wah wah wah wah wah wah
shopping ho ya sabji mandi mol bhav ki pakki hu
ek rupaiya kimat ho toh ek rupaiya hi mai du
lamba meraa fasana hai par beauty parlour jana hai
lamba meraa fasana hai par beauty parlour jana hai
meraa nam mu mu mu mu mu mu aha mu mu mu
pyara mujhe saj singar umra ko goli maro yar
wah wah wah wah wah wah wah wah
chalo dulhan ab aage badho ji apne
nanad nandoyi se miloji
biwi ko ye naa kare naraj aashikana hai andaj
han biwi ko ye naa karen naraj aashikana hai andaj
radhika ke daddy jara aana darling hukum farmana
kaisi hai ye sari batana darling fida hai ye divana
meraa sar hai dukhta chalo mai daba du

hai khana pakana kaho mai paka du
kahi ghum aaye jahan bhi kaho tum
dinner lenge bahar fikar naa karo tum
bad me ice cream bhi khilana
darling jo chaho so mangana
mitha pan kachcha khilana
darling jara sa muskurana
jara meraa purse to uthana
darling tumhara hai jamana
darling tumhara hai jamana
sunoji dulhan ab sambhal jaoji
chhote natkhat devar se miloji
bada rangila inka mijaj shaitani inka andaj
hai, bada rangila inka mijaj shaitani inka andaj
papa kehte hain bada naam karega
beta hamara aisa kam karega
sach sare sapne papa ke apne
karne chala mai naujawa
bholi surat dil ke khote baten badi hain kam hain
chhote kam hain chhote
aath baje tak jo sote bade kahan log aise hote
jinki najar me ho koyi sapna raha naa
unko hosh apna hosh apna
chit bhi hai inki pat bhi hai
inki bin pendi ke ye lote
baten badi hain kam hain chhote kam hain chhote
bholi surat dil ke khote husn
ke nakhre mote mote mote mote
sunoji dulhan abb gaur karoji
apne bade devar se miloji
ma ke dil ke ye sartaj sharmila jinka andaj
han ma ke dil ke ye sartaj sharmila jinka andaj
ankhiya milaye nahi hai batiyaen
nahi banke rahe sadhu
ankhiya milaye nahi hai batiyaen
nahi banke rahe sadhu
kisi chehre ke kitab kaa roj rivision hai chalu
priti ke bas me hain prem babu
chhupe rustam hain ye prem babu
aise kya bane padhaiya padh ke dekho ji saiyan
prem ke dhai akshar ho jab tak tum rahe bidesi
meri halat thi aisi jal bin jaise machhaliya ho
meraa piya ghar aaya ho ramji

meraa piya ghar aaya ho ramji
puri ho naa ho padhayi o papaji
kar do inki bhi sagayi o mummyji
pyari dulhan abb dil thamoji
kyon ke hai bari saiyaji ki
itna sa hai inka raj sab se alag inka andaj
han itna sa hai inka raj sab se alag inka andaj
khuli kitab ke jaisi hai shaksiyat inki
kaun hai ghar me aisa jisko inpe naj nahi
suno dulhan bataye raj tumko ham inka
ye aaina hain jiske dil me koyi raj nahi
chanda mama se bhi pyare hain ye hamare mama
chanda mama se bhi pyare hain ye hamare mama
mami ji ke aa jane se hamko bhul naa jana
pyare pyare mamaji jahan se nyare mamaji
pyare pyare mamaji jahan se nyare mamaji