apni najar se unki najar tak
ek jamana ek fasana
kitne ho aap jaise aise jamane me
apne dil ka kaun thikana
unki jafa me mithi vafa hai
jahar hai lekin kitna maja hai
unki jafa me mithi vafa hai
jahar hai lekin kitna maja hai
marne ke hote hai lakho bahane
jine ka hai bas ek bahana
apni najar se unki najar tak
ek jamana ek fasana
dur hi dur se dil me samaye
yu nahi aate to sapno me aaye
dur hi dur se dil me samaye
yu nahi aate to sapno me aaye
kam hai unka pas na aana
kam hamara preet nibhana
apni najar se unki najar tak
ek jamana ek fasana
dil jo liya hai dard hi denge
iske siva wo kuch na karenge
dil jo liya hai dard hi denge
iske siva wo kuch na karenge
hota hai dil to hone do isko
tire najar ka yuhi nishana
apni najar se unki najar tak
ek jamana ek fasana