bahe ankhiyo se dhaar
jiyaa meraa beqraar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke
bahe ankhiyo se dhaar
jiyaa meraa beqraar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke
o saathi meri taqadir ke
tumhe kaise dikhaun dil chir ke
o saathi meri taqadir ke
tumhe kaise dikhaun dil chir ke
meraa pahla-pahla pyaar
meri pahali-pahali haar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke
meri duniyaa to hai barbaad hi
lete jaao tum apni yaad bhi
meri duniyaa to hai barbaad hi
lete jaao tum apni yaad bhi
liye asuo ke haar, karun tumse pukaar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke
jab nazare kisi ko na paayegi
mose ratiyaan guzaari na jaayegi
leke dil me intazaar
kaise bitegi bahaar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke
bahe ankhiyo se dhaar
jiyaa meraa beqaraar
suno suno dildaar, jaaoge kahaan
dil tod ke, dil tod ke