Daulat Ke Andhere Mein Lyrics | Insaaf

                        
                        Daulat ke andhere mein
Tera kho gaya iman
Tujhko na rahi apne
Paraye ki bhi pehchan
Magrur na ho magrur na ho
Apne mukadar o nadan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan

Duniya ka ajab rang
Nazar aane laga hai
Ek bhai hai jo bhai se
Takrane laga hai
Ek beta hai jo ma ko bhi
Thukrane laga hai
Afsosh ke insaan bana
Jata hai saitan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan

Zalim ko har ek zulm se
Baz aana padega
Luti huyi har chiz ko
Lautana padega
Insaf ki aawza pe jhuk
Jana padega
Kudrat ka ye kanun
Badalna nahi aasan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan

Yeh saz yeh mehfil
Yeh tarane na rahenge
Yeh husno mohabbat ke
Fasane na rahenge
Jo aaj hai kal tak
Wo zamane na rahenge
Mit jayenge ek pal mein
Gunaho ke yeh sama
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan
Allah ki nazaro mein
Barabar hai sab insaan.