shayar to nahi hu lekin shayar to nahi hu lekin
shayar ki nazar payi hai wo bat kahe deta hu
jo bat nazar aayi hai shayar to nahi hu lekin
sawan tere rup ki masti badal teri zulf ka saya
tere hotho ki muskane phulo ka hai sharmaya
ye chand ka ghatna badna teri hi to angdayi hai
wo bat kahe deta hu jo bat nazar aayi hai
shayar to nahi hu lekin
tere bol hai mithe nagme khamoshi rangin fasana
jagi jagi si palko me khawab hai koi diwana
kadmo me haya ne tere zanzir si pehnayi hai
wo bat kahe deta hu jo bat nazar aayi hai
shayar to nahi hu lekin
chehara jaise nur ka dariya aanchal hai ek bahta dhara
aaj meri nazro me jaise jannat ka hai nazara
kya husn mila hai tujhko kya tune ada payi hai
wo bat kahe deta hu jo bat nazar aayi hai
shayar to nahi hu lekin shayar ki nazar payi hai
wo bat kahe deta hu jo bat nazar aayi hai
shayar to nahi hu lekin.