ham tumhare liye, tum hamare liye
ham tumhare liye, tum hamare liye
phir jamane ka kya hai, hamara na ho
aap ke pyar ka jo mile asara
aap ke pyar ka jo mile asara
phir khuda ka bhi beshak sahara na ho
ham tumhare liye, tum hamare liye
tum hi ho dil me, tum hi ho mere nigaho me
na aur aayega ab koye mere raho me
karu na araju
karu na araju, marne ke bad jannat ke
agar yeh jindagi gujare tumhare baho me
tumhare baho me
pyar ke chand se rat roshan rahe
pyar ke chand se rat roshan rahe
phir koyi asman pe sitara na ho
ham tumhare liye, tum hamare liye
najar najar se, kadam se kadam milaye huye
chale hain wakt ke raftar ko bhulaye huye
bahar puchh rahe hai
bahar puchh rahe hai, chaman ke phulo se
yeh kaun aaya ke tum sab ho sar jukaye huye
ho sar jukaye huye
soch me phul hai, ham agar chal diye
soch me phul hai, ham agar chal diye
phir chaman me kabhi yeh najara na ho
ham tumhare liye, tum hamare liye
phir jamane ka kya hai, hamara na ho
aap ke pyar ka jo mile asara
phir khuda ka bhe beshak sahara na ho
ham tumhare liye, tum hamare liye
ham tumhare liye, tum hamare liye.