duniya ki tarah, rasmo ki tarah
wado ki tarah, kasmo ki tarah
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
duniya badalti hai, mausam badalte hai
lekin mere dil ko badal nahi paoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
aasmano ke aage tumne wada kiya hai
dil ke badle me maine pyar tumko diya hai
dharti ki ambar ki kasam, mujhko hai tere sar ki kasam
najare badalati hain, sapne badalte hain
lekin meri dhadkan ko tum dhadkaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
meri pehali tamanna, aakhari pyar ho tum
ruh me bas gaye ho, mere dildar ho tum
aise hi tumhe chahunga mai, tumhe dulhan bhi banaunga mai
sehre badalte hain, khushbu badalati hai
pal pal meri saanso ko tum mahkaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
tumne dhoka diya toh kuchh bhi kar jaungi mai
tum juda jo huye toh dekho mar jaungi mai
meri manjil teri raaho me hai, meri jannat teri baaho me hai
raahe badalte hain, raste badalte hain
mai daudke aaunga jo mujhko bhulaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
mausam ki tarah tum bhi badal toh na jaoge
badal toh na jaoge, badal toh na jaoge
badal toh na jaoge