Pehli Pehli Baar Jab, Pyar Kisi Se Hota Hai Lyrics | Jab Pyar Kisise Hota Hai

Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : Anand Bakshi , Jatin-Lalit
Singer : Kumar Sanu
                        
                        pehli pehli baar jab, pyaar kisi se hota hai
hota hai ye haal jab, pyaar kisi se hota hai
ye dil kahi lagata nahin
teri tarah meri tarah, paagal sabhi ho jaate hai
ho pehli pehli baar jab, pyaar kisi se hota hai

dil ko karaar nahi aata, raaton ko nind nahin aati
jaan chali jaati hai lekin, aake teri yaad nahi jaati
tauba mere yaar jab, pyaar kisi se hota hai
he hota hai ye haal jab, pyaar kisi se hota hai
ye dil kahi lagata nahin
teri tarah meri tarah, paagal sabhi ho jaate hai
ho pehli pehli baar jab, pyaar kisi se hota hai

pyaar mein karu bewafaai, aisa nahi main harjaai
laankhon haseeno ko dekha, tu hi pasand mujhe aayi
hota hai kamaal jab, pyaar kisi se hota hai