aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata
makhmali julf banane wo jab aayenge na
pahle us chand se mukhde ki balaye lena
phir juba jo tujhko mil jaye to sargoshi me
husn ko aur nikharne ki duaye dena
unki tanhai me ek ishq ki aawaz hai tu
aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata
kabhi ghabraye huye bhi to wo aate honge
dil ki dhadkan ko jo rukhsar pe pate honge
aapka jism sambhale ma sambhalta hoga
apni aankho se bhi wo aankh churate honge
itna gumsum hai ki ke khud unka andaaz hai tu
aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata
range rukh kya kabhi kuch aur nikhar jata hai
palke jhukti hai to kya rup sanwar jata hai
yu khoye se wo kuch sochke jab hanste hai
kya koi naam bhi hontho pe ubhar jata hai
unke jajbaat ki sadmi me huyi aawaz hai tu
aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata unka to humraaz hai tu
aaine kuch to bata