Har Sannata Kuch Kehta Hai Lyrics | Jadu Tona

                        
                        har sannaata kuchh kehta hai
har khaamoshi kuchh gaati hai
kuchh awaazen aisi bhi hain
jo mann hi mann takraati hain
har sannaata kuchh kehta hai
har khaamoshi kuchh gaati hai
kuchh awaazen aisi bhi hain
jo mann hi mann takraati hain
har sannaata kuchh kehta hai
har khaamoshi kuchh gaati hai

wo sapnon mein bhi aate hain
to khushboo si chhaa jaati hai
us waqt ka aalam kya hoga
jab baahon mein aa jaayenge
andaaz lagaane waale hi
andaaz lagaaya karte hain
aksar gumsum sapne hi
awaaz lagaaya karte hain
har sannaata kuchh kehta hai
har khaamoshi kuchh gaati hai
kuchh awaazen aisi bhi hain
jo mann hi mann takraati hain
har sannaata kuchh kehta hai
har khaamoshi kuchh gaati hai

is aag se jo takraata hai
ye aag usey pee jaati hai
is aag ko jo pee jaata hai
kehte hain khuda ho jaata hai
do chaar gunaahon ki hasrat
chhoti si tamanna maafi ki
insaan hi rehne do mujhko
mujhko na khuda kehlaana hai
jab sannaate kuchh kehte hain
jab khaamoshi kuchh gaati hai
kehte hain khuda ki haalat bhi
kuchh aisi hi ho jaati hai
jab sannaate kuchh kehte hain
jab khaamoshi kuchh gaati hai