chalo chale maa
chalo chale maa sapno ke ganv me
kanto se dur kahin phulo ki chhanv me
chalo chale maa
ho rahe ishare reshami ghatao me
chalo chale maa sapno ke ganv me
kanto se dur kahin phulo ki chhanv me
chalo chale maa
aao chale ham ek sath vaha
dukh na jaha koi gam na jaha
aao chale ham ek sath vaha
dukh na jaha koi gam na jaha
aaj hai nimantran san san hawao me
chalo chale maa sapno ke ganv me
kanto se dur kahin phulo ki chhanv me
chalo chale maa
rehna mere sang maa har dam
aisa na ho ke bichhad jaye hum
rehna mere sang maa har dam
aisa na ho ke bichhad jaye hum
ghumna hai hamko dur ki dishao me
chalo chale maa sapno ke ganv me
kanto se dur kahin phulo ki chhanv me
chalo chale maa