Jo khwabon ke tukdo ko
Ummedon se jodti hai
Jo khwabon ke tukdo ko
Ummedon se jodti hai
Jo gum ke daali se bhi
Khusiyaan todti hai
Jo gum ke daali se bhi
Khusiyaan todti hai
Har pal muskurakar
Aansu ko chupati hai
Mamta ki khusbu se
Ghar ko mehkati hai
Prem ki murat hai naari
Tyag ki surat hai naari
Ghar ki jarurat hai naari
Tyag ki surat hai naari
Prem ki murat hai naari
Zindigi ki manjil ki
Ye rahein hoti hai
Prem ke dori se
Rishton ko piroti hai
Zindigi ki manjil ki
Ye rahein hoti hai
Prem ke dori se
Rishton ko piroti hai
Patwaar banke sankat ke
Saagar ye paar karti hai
Ruk jaana sikha na kabhi
Har haal mein aage badhti hai
Khuda ki inaayat hai naari
Sneh aur ibadat hai naari
Ghar ki jarurat hai naari
Tyag ki surat hai naari
Prem ki murat hai naari.