suraj ki kirno ki lali me tum ho
dariya me fulo ki kaliyo me tum ho
jaha bhi najar hain tumhara asar hain
sabhi ko pata hain sabhi ko khabar hain
tum bekhabar ho
hawaao ke narm sarsarahat me tum ho
savere ki mithi gugudahat me tum ho
jaha bhi najar hain tumhara asar hain
sabhi ko pata hain sabhi ko khabar hain
tum bekhabar ho
leharo se uthti tarango me tum ho
sapno me ghut ti ummango me tum ho
bighadte bante sat rango me tum ho
khud hi me machalte patango me tum ho
jabane se mehki baharo me tum ho
sanso se dehke sharabo me tum ho
mohabbat ke mehke isharo me tum ho
fizao ghatao najaaro me tum ho
jaha bhi najar hain tumhara asar hain
sabhi ko pata hain sabhi ko khabar hain
tum bekhabar ho