jane jana oo jane jana, jane jana oo jane jana
jab jab teri surat dekhu, jab jab teri surat dekhu
pyar sa dil me jage
ho teri taraf hi dil mujhe khinche
kya tu mera lage, kya tu mera lage
kon sa ye bandhan hai
ye kaisa apnapan hai, kisi ka zor chale na
ye kaisi dil ki lagan hai, jane jana oo jane jana
jab jab teri surat dekhu, jab jab teri surat dekhu
pyar sa dil me jage
ho teri taraf hi dil mujhe khinche
kya tu meri lage, kya tu meri lage
kon sa ye bandhan hai
ye kaisa apnapan hai, kisi ka zor chale na
ye kaisi dil ki lagan hai, jane jana oo jane jana
pyar nahi koi tan ka soda, pyar nahi koi tan ka soda
pyar hai man ki puja, oo jab se jivan me tu aaya
bhaya nahi koi duja, bhaya nahi koi duja
meri bhi kya kismat hai, dil me teri chahat hai
khila hai gul sehara me, khuda ko bhi hairat hai
jane jana oo jane jana
dilbar tujhse milte milte
dilbae tujhse milte milte, mai bhi aurat ban gayi
ho tune mujhe anmol bnaya
mai mohabbat ban gayi, mai mohabbat ban gayi
diwano ka mosam hai ke sholo pe shabnam hai
mera dil tut na jaye tujhe ye dil ki kasam hai
jane jana oo jane jana
phul bankar tera chehra, mere hatho me khila hai
milan hai dil se dil ka, badan se badan mila hai
teri chahat ki garmi, naram sanso ka tufa
mom ho gaya mera dil, pighalne laga hai ima
jane jana oo jane jana
jab jab teri surat dekhu
pyar sa dil me jage
ho teri taraf hi dil mujhe khinche
kya tu mera lage, kya tu mera lage
kon sa ye bandhan hai
ye kaisa apnapan hai, kisi ka zor chale na
ye kaisi dil ki lagan hai, jane jana oo jane jana