Welcome Entertainment Lover’s

Baanki Adaon Waale Humko Lyrics | Jazbaat

                        
                        Banki adaon wale humko
Lutke khud aaram kare
Banki adaon wale humko
Lutke khud aaram kare
Saf mukar jaye dil lekar
Saf mukar jaye dil lekar
Saf mukar jaye dil lekar
Dekho kaise kam kare
Banki adaon wale humko
Lutke khud aaram kare

Ya rab kaise hai ye aashiq
Ya rab kaise hai ye aashiq
Raz ki baate aam kare
Aap to ruswa hai duniya me
Aap to ruswa hai duniya me
Aap to ruswa hai duniya me
Humko bhi badnaam kare
Ha banki adaon wale humko
Lutke khud aaram kare

Paththar ka dil rakhte hai
Ye phul se najuk tan wale
Paththar ka paththar ka rakhte hai
Rakhte hai dil idl dil dil dil
Ye phul se najuk tan wale
Ye phul se najuk tan wale
Paththar ka dil rakhte hai
Ye phul se najuk tan wale
Hote hai chalak bade
Ye bholi si chitwan wale
Ye bholi si chitwan wale
Ye bholi si chitwan wale

Taz rakhte hai na talwar koi
Phir bhi khali na jaye war koi
Inki har ek nigah katil hai
Aisi katil zamana bismil hai
Kabhi mare muskurahat se
Kabhi aanchal ki sar sarahat se
Roz ye kattle aam karte hai
Aur marne wale khushi se marte hai
Aur marne wale khushi se marte hai
Khushi se marte hai
Khushi se marte hai

Aaye koi na ilzam in par
Aaye koi na ilzam in par
Aise kam tamam kare

Paththar dil kahte ho humko
Dil tumne dekha hi nahi
Paththar ka paththar ka kahte ho
Kahte ho dil dil dil dil
Ha dil tumne dekha nahi
Tumne dil haye dekha nahi
Paththar dil kahte ho humko
Dil tumne dekha hi nahi
Husn ki fitrat ko shyad
Tum logo ne samjha nahi
Tum logo ne samjha nahi
Tum logo ne samjha nahi

Jisko hum dil se pyar karte hai
Jaan us par nisar karte hai
Ke wafao ka naam humse hai
Pyar zinda hamare dam se hai
Humko katil samjh liya tune
Tauba tauba ye kya kiya tumne
Hum to khud dil se zakham khate hai
Aur zakham khakar bhi muskarate hai

Zakham khakar bhi muskarate hai
Muskarate hai muskarate hai

Phir bhi ye ilzam hai hum par
Phir bhi ye ilzam hai hum par
Ke hum kattle aam kare
Husn hai bewafa zamane me
Hai yahi likha har fasane me
In fasano ki kya hakikat hai
Jhuti baate hai jhuti tohamat hai
Husn to beniyaz hota hai
Ji nahi dil nawaz hota hai
Ishq ki jaani sariy adekho
Husn ki bekarariya dekho
Husn pe ishq jaan deta hai
Ishq ko husn maan deta hai
Ishq ko husn se mohabbat hai
Mohabbat hai mohabbat hai

Phir uljhane ki kya jarurat hai
Aao phir mil ghulkar hum tum
Ek duje ka naam kare
Na ruswa tum hum ko karo
Na ruswa tum hum ko karo
Na ruswa tum hum ko karo

Na hum tum ko badnaam kare
Na hum tum ko badnaam kare
Na hum tum ko badnaam kare.