kaam karo bhai kaam karo tum jag me apna naam karo
kaam karo bhai kaam karo tum jag me apna naam karo
kyu din-raat ho mehnat karte
aur phir bhi ho tum bhukho marte
kyu dukh jhelo pran gawavo, kyu dukh jhelo pran gawavo
aavo meri sharan me aavo aavo aavo
kyu dukh jhelo pran gawavo, kyu dukh jhelo pran gawavo
aavo meri sharan me aavo aavo aavo
tum jo kaam karo barso me, mai kar sakti hu minuto me
tum jo kaam karo barso me, mai kar sakti hu minuto me
mujhko pujo, usko pujo to dukh pao
mujhko pujo to sukh pao
aavo meri sharan me aavo aavo aavo
aavo meri sharan me aavo aavo aavo
o devi puja ko teri chahiye dhan daulat ki dheri
o devi puja ko teri chahiye dhan daulat ki dheri
sona chandi kahan se laye pas tere ham kaise aaye
sona chandi kahan se laye pas tere ham kaise aaye
ham hai tumhre sevak bhaiya, ham hai tumhre daas
ham hai tumhre sevak bhaiya, ham hai tumhre daas
aao sath hamare aao dil ka bhed mita do
nai mashino se dhan ke dher ke dher laga do
kyun dukh jhelo pran ganwavo
kyun dukh jhelo pran ganwavo
aavo meri sharan me aavo aavo aavo