Matwaale ham matwaale tum
Chalte rahen yun hi kadam
Dilwaale ham dilwaale tum
Badhte chalen yun hi kadam
Matwaale ham
Auro ke kaam aa jaa
Mil mil ke jheltaa jaa
Mushkil jo raahon mein hai
Matwala naam hai masti se kaam hai
Masti nigaahon mein hai
Dil jab dole machal machal ke
Phir kya chalna sambhal sambhal ke
Dil hai jawaan kaahe kaa gham
Matwaale ham matwaale tum
Chalte rahen yun hi kadam
Matwaale ham
Saare rangeen nazaare
Apne damm se hain pyaare
Hamko nazaaron se kya
Har dil ke pyaar ham
Sabki bahaar ham
Ham ko bahaaron se kya
Sabse nainaa mila mila ke
Dil ki kaliyan khila khila ke
Chalte chalen lehraa ke ham
Matwaale ham matwaale tum
Chalte rahen yun hi kadam
Matwaale ham
Kaisa jeena akele gairon kaa dard le le
Apna to kaam yahi apna to sinn yahi
Apna to din yahi apni to shaam yahi
Girte jan ko uthaa uthaa ke
Har rote ko hansa hansa ke
Gaaye jaa tu jab tak hai damm
Matwaale ham matwaale tum
Chalte rahen yun hi kadam
Matwaale ham.