hum chale
hum chale shahar ki or
ab to ganv ka rahna chhod diya
hum chale shahar ki or
ab to ganv ka rahna chhod diya
bijli ki batti jalayenge
ab tel ka deeya fod diya
hum chale shahar ki or
hum gahri nind me sote the
aur samay suhaane khote the
log kama kar ghar laate
hum pade pade bas rote the
log kama kar ghar laate
hum pade pade bas rote the
jo aaya bekaari ?
par kaam se nata jod liya
hum chale, hum chale
hum chale shahar ki or
ab to ganv ka rahna chhod diya
hum chale shahar ki or
kuch aata jata khaak nahi
kis birte par itraate ho
kya khaoge kya pioge
tum ghar se nikle jaate ho
kya khaoge kya pioge
tum ghar se nikle jaate ho
kaam pe apni lauri kholi
mera munh bhi mod diya
hum chale, hum chale
hum chale shahar ki or
ab to ganv ka rahna chhod diya
hum chale shahar ki or
gora chamda koi na puchhe
kaam hai jag me pyara
andha kana kaam ka ho to
vo bhi aankh ka tara
andha kana kaam ka ho to
vo bhi aankh ka tara