Jashn-E-Bahaara Lyrics | Jodhaa Akbar

                        
                        kehne ko jashn-e-bahara hai, ishq ye dekhke hairan hai
kehne ko jashn-e-bahara hai, ishq ye dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan me
chupa hai koi ranj fija ki chilman me
sare sehme najare hai, soye soye waqt ke dhare hai
aur dil me koi khoyi si bate hai
kehne ko jashn-e-bahara hai, ishq ye dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan me
chupa hai koi ranj fija ki chilman me

kaise kahe kya hai sitam, sochate hai ab ye hum
koi kaise kahe wo hai ya nahi humare
karte toh hai saath safar, fasale hai phir bhi magar
jaise milte nahi kisi dariya ke do kinaare
paas hai phir bhi paas nahi, humko ye gum raas nahi
seeshe ki ik diwar hai jaise darmiya
sare sehme najare hai, soye soye waqt ke dhare hai
aur dil me koi khoyi si bate hai
kehne ko jashn-e-bahara hai, ishq ye dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan me
chupa hai koi ranj fija ki chilman me

hamne jo tha nagma suna, dil ne tha usako chuna
ye dastaan hame waqt ne kaisi sunayi
hum jo agar hai gumgin, wo bhi udhar khush toh nahi
mulakato me jaise ghul si gayi tanhayi
milake bhi hum milate nahi, khilake bhi gul khilate nahi
aankho me hai bahare, dil me khija
sare sehme najare hai, soye soye waqt ke dhare hai
aur dil me koi khoyi si bate hai
o ho kehne ko jashn-e-bahara hai, ishq ye dekhke hairan hai
phul se khusbu khafa khafa hai gulshan me
chupa hai koi ranj fija ki chilman me.