sukh dukh dono rahte jisme
jiven hai vo ganv
kabhi dhup kabhi chhav
kabhi dhup to kabhi chhav
kabhi dhup kabhi chhav
kabhi dhup to kabhi chhav
bhale bhi din aate jagat me
bure bhi din aate
kadave mitthe phal karam ke
yaha sabhi pate
kabhi side kabhi ulate padte
ajab samaye ke paav
kabhi dhup kabhi chhav
kabhi dhup to kabhi chhav
kya khushiya kya gum
ye sab milate bari bari
malik ki marzi pe chalti ye dunia sari
dhyan se khena jag ndiya mei bande
apni naav
kabhi dhup kabhi chhav
kabhi dhup to kabhi chhav