kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
ke zindagi teri zulfo ki naram chhao me
gujarane pati
to shadaab ho bhi sakati thi
ye ranjo gam ki shayahi jo dil pe chhayi hai
teri nazar ki suao me kho bhi sakati thi
magar ye ho na saka
magar ye ho na saka
aur ab ye aalam hai
ki tu nahi tera gam teri zusatzu bhi nahi
gujar rahi hai kuch is tarha zindagi jaise
ise kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi
na koi raah, na manjil, na roshani ka suraag
bhatak rahi hai andhero me zindagi meri
inhi andhero me rah jauga kabhi khokar
mai janata hu meri humnafaj
magar yu hi
kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai.