Kabhi Kabhie Mere Dil Mein - II Lyrics | Kabhi Kabhie

                        
                        Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Ke jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
tu ab se pahle sitaro me bas rahi thi kahi
tu ab se pahle sitaro me bas rahi thi kahi
tujhe zami pe bulaya gaya hai mere liye
tujhe zami pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke ye badan ye nigahe meri amanat hai
Ke ye badan ye nigahe meri amanat hai
Ye gesuo ki ghani chhao hai meri khatir
Ye honth aur ye bahe meri amanat hai
Ye honth aur ye bahe meri amanat hai

Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ke jaise bajti hai shahnaiya si raho me
Ke jaise bajti hai shahnaiya si raho me
Suhag raat hain ghunghat utha raha hu mai
Suhag rat hai ghunghat utha raha hu mai
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho me
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho me

Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai
Ki jaise tu mujhe chahegi umar bhar yu hi
Uthegi meri taraf pyar ki nazar yu hi
mai janta hu ke tu gair hai magar yu hi
main janta hu ke tu gair hai magar yu hi
Kabhi kabhi mere dil mei khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mei khayal aata hai.