tere chehre se nazar nahin hat ti
nazaare hum kya dekhen
tujhe milke bhi pyaas nahin ghat ti
nazaare hum kya dekhen
pighle badan teri tapti nigaahon se
sholon ki aanch aaye barfili raahon se
lage kadmonse aag lipat ti
nazaare hum kya dekhen
rangon ki barkha hai khushboo ka saath hai
kisko pataa hai ab din hai ke raat hai
lage duniya hi aaj simat ti
nazaare hum kya dekhen
palkon pe failaa teri palkon ka saaya hai
chehre mein tere mera chehra chhupaya hai
tere jalwon ki chhund nahin chhat ti
nazaare hum kya dekhen.