Than than ki suno jhankar
Ye duniya hai kala bazaar
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Main gol hoon duniya gol
Main gol hoon duniya gol
Jo bolu khol doon sab ki pol
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Rang gora ho ya kala ho
Jag uska jo paisa wala ho
Ghapale se mile ya rishwat se
Banta hai mukaddar daulat se
Saccha hai yahan kangal
To beimaan hai malamal
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Bhagwan ke ghar bhi khot chale
Puja ke liye bhi note chale
Jo chahe karwalo dhan se
Har kam bane donation se
Milta hain us hi ko vote
Dikhaye jo voter ko note
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Paiso pe agar main marta hoon
Batlao bura kya karta hoon
Jab bajati hain shahnai dhan ki
Tab uthti hain doli dulhan ki
Main gangu teli ko doon raj
Main gangu teli ko doon raj
Gadho ke sir pe rakh doon taj
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Than than ki suno jhankar
Ye duniya hain kala bazaar
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain
Ye paisa bolta hain.