mai geet sunane aaya hu, mai geet sunake jaunga
chhodo ki kispe kya biti sangeet saja ke jaunga
sangeet saja ke jaunga
mai dur chala jaunga jaha se jaha se
mai dur chala jaunga jaha se tab apne paray royenge
aaj hai iljam-e-jafa mujhpar
aaj hai iljam-e-jafa mujhpar kal meri wafa par royenge royenge
mai dur chala jaunga jaha se jaha se
kahte hai mai harjai nikla
kahte hai mai harjai nikla jhutha premi pagal nikla
tut ke barsa jo har nadi par mai wo awara baadal nikla
mai wo awara baadal nikla
jab log hakikat janenge ha tab wo mujhe pahchanenge
ha tab wo mujhe pahchanenge phir ban ke diwane royenge royenge
mai dur chala jaunga jaha se jaha se
ankho ke ansu chupata raha
ankho ke ansu chupata raha mai jag ko geet sunata raha
tab aisi chali takdir ki andhi, mai phir bhi shama jalata raha
mai phir bhi shama jalata raha
jab log hakikat janenge ha tab wo mujhe pahchanenge
ha tab wo mujhe pahchanenge fir ban ke parwane royenge royenge
mai dur chala jaunga jaha se tab apne paray royenge
aaj hai iljam-e-jafa mujhpar
aaj hai iljam-e-jafa mujhpar kal meri wafa par royenge royenge
mai dur chala jaunga jaha se jaha se