jiyenge jab talak ham unki baate yaad aayengi
khushi ki chhaanv me guzari wo raate yaad aayengi
maine kyaa kiya, sitam ye maine kyaa kiya
ik saathi milaa thaa ulfat ka usko bhi kho diya

maine kyaa kiya
khoi hui kisi ki wo surat nazar me hai
dil me hai zakhm daag-e-mohabbat jigar me hai

ek chahne waale ko maine badla kyaa diya
maine kyaa kiya, sitam ye maine kyaa kiya
ik saathi milaa thaa ulfat ka usko bhi kho diya
maine kyaa kiya
chubhne lagi hai ab to
chubhne lagi hai ab to in aankho me nind bhi

haatho se apne lut li apni hi zindagi
haatho se apne lut li apni hi zindagi
rote hai unki yaad me kismat se kyaa gila
maine kyaa kiya, sitam ye maine kyaa kiya
ik saathi milaa thaa ulfat ka usko bhi kho diya
maine kyaa kiya
dil ki ye aarzu hai phir aahe bhara kare
unko bithaa ke saamane baate kiya kare
unko bithaa ke saamane baate kiya kare
ruthaa hai koi dard mere dil me rah gaya