Welcome Entertainment Lover’s

Chhoti Si Ek Bagiya Mein Lyrics | Kanchan

                        
                        Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali
Shabnam ke sang jhula jhule
Aur mast pavan ke sath pale
Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali

Bachpan ka zamana bit gaya
Jo banke suhani rut aayi
Aur apne man hi man mein
Wo kuch muskayi kuch sharmayi
Itne mein kahi pe ek bhawra
Gul gul karta aa pahuncha
Aankho aankho mein bat huyi
Isne dekha usne dekha

Nadan kali kuch paki thi
Is tan mein sab kuch bhul gayi
Aur todke nata bagiya se
Bhawre ka daman tham chali
Dono ne basa li ek duniya
Armano ki aashao ki
Ek duniya mast tarano ki
Ek duniya thandi chhavo ki
Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein khili

Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali
Chhoti si ek bagiya mein
Khili nanhi munni si ek kali
Hanste hanste kuch din gujre
Phir kali ne ek sapna dekha
Ek chand ka tukda aangan mein
Aaksh se tut ke aan gira
Us chand ke tukde se
Duniya un dono ki aabad huyi
Lekin ye khushi do din ki thi
Do din gujre barbad huyi

Bhawre ne kali ko thukraya
Aur aankh chura kar chala gaya
Tarif yahi hai duniya ki
Koi na dukhi ka mit huya
Bhawre se shikayat kon kare
Jab kismat ne muh maud liya
Ek phool khilaya khushiyo ka
Aur apne hatho tod liya
Kyu mujhko diye aansu gham ke
Duniya ko hasane wale ne
Kyu tod liya hai phool tera.