suraj kab dur gagan se, chanda kab dur kiran se
khushbu kab dur pavan se, kab dur bahar chaman se
ye bandhan to pyar ka bandhan hai, janmo ka sangam hai

tum hi mere jivan ho, tumhe dekh dekh ji lungi

main to tumhari khatir duniya ka zaher pi lungi
tere paavan charno me aakash jhuka denge ham
teri raaho me jo shole ho to khud ko bichha denge ham
ye bandhan to pyar ka bandhan hai, janmo ka sangam hai
ye bandhan to pyar ka bandhan hai, janmo ka sangam hai
mamta ke mandir ki hai tu sabse pyari murat

bhagwan najar aata hai jab dekhe teri surat
jab jab duniya me aaye tera hi aanchal paye
janmo ki diwaro par ham pyar apna likh jaye