tere jivan ka hai karmon se naata
tere jivan ka hai karmon se naata
tu hi apna bhaagya vidhaata
jaisi likhega karmon ki rekha
jaisi likhega karmon ki rekha
dena hoga til til ka lekha dena hoga til til ka lekha
tere jivan ka hai karmon se naata
aaj tu jisko achchha samjhe jaan le uska kal kya hai
kal kya hai soch le chalne se pehle tu
un raahon ki manjil kya hai manjil kya hai
jo bhi kiya hai aage aata tu itna bhi soch na pata
jaisi likhega karmon ki rekha
jaisi likhega karmon ki rekha
dena hoga til til ka lekha dena hoga til til ka lekha
tere jivan ka hai karmon se naata
mana ki kale karmon se tujhko khushiya aur sukh milta hai
khushiya aur sukh milata hai
aasmaan ko chhune wale ye kitne din chalata hai
kitne din chalta hai
kaahe ret ke mehal banata jhute bal se tu kyun itrata