Saansein meri ab befikar hain
Dil mein base kaise yeh pal hain
Baatein sambhal jaa rahi hain
Palkon mein yoon hi hansi hai
Man mein chhupi kaisi yeh dhun hai
Har khaahishein uljhi kidhar hain
Pairon se zakhmi jameen hai
Nazrein bhi thehri hui hain
Hai ruki har ghadi
Hum hain chalein raahein yahin
Yeh manzilein humse khafa thi
In par chayi oss si bewafa thi
Baahon mein ab khoyi hain raatein
Haathon mein khuli hain yeh shaamein
Yeh subha hai nayi
Hum hain chalein raahein yahin
Main apne hi mann ka hausla hoon
Hai soya jahan par main jaga hoon
Main peeli sehar ka nasha hoon
Main madhosh tha ab main yahan hoon
Saansein meri ab befikar hain
Dil mein base kaise yeh pal hain
Naghmein khile hain ab saare
Pairon tale hain mashalein
Thamm gayi hai zameen
Hum hain chalein raahein yahin
Main apne hi mann ka hausla hoon
Hai soya jahan par main jaga hoon
Main apne hi mann ka hausla hoon
Hai soya jahan par main jaga hoon