kaun apna kaun paraya
kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya
duniya kaa yeh bhed abhi tak koyi samajh nahi paya
kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya
jivan ki naiya me sabhi hain raahi ik manjil ke
inhi me man ke mit milenge, inhi me dushman dil ke
kisi ke dil me bhari hai nafarat, kisi me pyar ki maya
kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya
bichhade log bhi mil jate hain kabhi-kabhi jivan me
khushi ki lehare bhi uthati hain kisi ke dukhiya man me
kabhi kisi ne khoya jag me, kabhi kisi ne paya
kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya
koi murakh ban ke begana apano ko thukaraye
koi kisi ki khushi ke karan raste se hat jaye
koi kinara chhod ke dhundhe tufano kaa saya
kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya.