Sakhi hriday me halachal
Kyo hone lagi meri akhiyaan do
Chachal kyo hone lagi
Gaya bachpan ka
Raat din aaya wo aaj
Tan kumhalaaye ab singaar se
Paanv dabate hai yauvan
Ke bhaar se koi kano me gun
Gun gun gaane laga
Dekho bhanwra bhi
Hamako satane laga
Dak maare kyo jor
Mat kar itna shor
Koi aayega teri pukar se
Paanv dabate hai
Yauvan ke bhaar se
Kanv sutaa priy shakuntalaa
Nahi aanchal saki sambhaal
Rup dekh dushhyant
Ka haay hui behaal
Ye tapasvini wo raja
Phir bhi anhoni ho gayi
Purn yauvanaa pratham
Milan ki pratham
Drishhti me kho gayi
Raja ne bhi ghar aur
Jag ki zara na ki parvaah
Shakuntala ke sag kiya
Ban me gandharv vivaah
Kar vivaah de kar vachan
Nrip ne kiya prasthaan
Kintu shaapvashh bhul
Gaye wo shakuntalaa ka dhyaan
Bhul gaye kyo de ke vachan
Tan ko jalaaye birahaa agan
Yaa chale aao yaa mujhako bulaao
Darshan bin akulaaye nayan
Bhul gaye kyo de ke vachan
Bhul gaye bhul gaye bhul gaye
Bhul gaye kyo bhul gaye
Birahaa taap se byaakul
Birahan sah na saki judaai
Priyavadaa ne maan ke
God me ye kathaa sunaayi
Maan ki mamta bhari do
Akhiyaan karunaa se bhar aayin
Pitaa kanv laadali shakun
Ko dete aaj bidaai
Rone lagi aashram
Ke sakhiyaan saheli
Rone lagi bagiyaa ki
Saathi chameli
Hiranaa bhi roy jis
Ke sag zara kheli
Chhod hame aaj
Kaha chali ho akeli
Nayano me ullaas thaa
Man me milan ki aas
Maan ke sag shakuntalaa
Pahunchi Piya ke paas
Badal gaye dushhyant nrip
Vidhi ka ajab vidhaan
Durvasa ke shaap
Vash sake nahi pahachaan
Kaun ho kaha se aa
Rahi ajaan naar tum
Kyaa bataaun jab bhulaate
Ho hamaaraa pyaar tum
Pyaar kaisaa pyaar
Pyaar kaisaa pyaar
Jhuthh bolati zabaan tum
Dekh lo diya huaa
Aguthi ka nishaan tum
Mai na janata tumhe
Ye kaisaa naari vash hai
Mere garbh me tumhaare
Vash hi ka ash hai
Jaa apane ghar sundari
Khadi yahaan kyo maun
Jaa kalakini Piya nahi
To ham bhi tumhaare kaun
Tut pada aakash phata
Dharitri maan mujhe
Sambhaalo god me
Piya hue agyaan.