Kahe Ki Dosti Kahe Ki Yari Lyrics | Khaan Dost

Lyricist : Anjaan
Music Director : Pawan Kumar , Kalyanji-Anandji
Singer : Kishore Kumar
                        
                        ye dosti yari mohabbat kya hai
kuch bhi nahi sab dikhawa hai
are sab numayish hai
numayish ke siwa kuch bhi nahi

kaahe ki dosti kaahe ki yari
kaahe ki dosti kaahe ki yari
duniya ye duniya hai matlab ki maari
yaro ki yari
yaro ki yari numayish hai sari
kaahe ki dosti kaahe ki yari
yaro ki yari numayish hai sari

he kya rishte nate hai
bate hi bate hai
bato ki ghaato se dil lut jate hai
kasme to rasme hai
duniya ke bas me hai
duniya ki aankho pe
do rangi chamshme hai
dekhi hai duniya, duniya ye duniya
dekhi hai duniya ki ye duniyadari
kaahe ki dosti kaahe ki yari
yaro ki yari numayish hai sari

he kaliya beek jati hai, galiyo bazaro me
dil ke bimaro me, jhute dildaro me
maili har chunar hai dagi har choli hai
teri bhi boli to yaro ne boli hai
sab yar tere tere ha tere
sab yar tere hawas ke pujari
kaahe ki dosti kaahe ki yari
yaro ki yari numayish hai sari

meri to hasti me masti hi masti hai
paas hai daulat to ye duniya sasti hai
log sach kahte hai ke mai harjai hu
bat sach ye bhi hai tera saudai bhi hai
saagro meena se jhum ke peena hai
jab talak jina hai jhum ke jina hai
maine jo chaha hai ha wahi paya hai
manga kab duniya se maine to chhina hai
baho me dam hai phir kiska gum hai
takat ki sab karte hai dawedari
kahe ko dosti kahe ki yari
duniya ye duniya hai matlab ki maari
yaro ki yari
yaro ki yari numayish hai sari
kaahe ki dosti kaahe ki yari
yaro ki yari numayish hai sari.