jiske pyar ke aage
is duniya ka sar jhuk jata hai
are o jiske pyar ke aage
is duniya ka sar jhuk jata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
waqt ki tapti dhup me jo
har pag par thokar khaye
are o pag par thokar khaye
phir bhi aankho ke taaro ko
dil ka khun peelaye
are o dil ka khun peelaye
jisse badhkar koi sakhi hai
aur na koi daata hai
jisse badhkar koi sakhi hai
aur na koi daata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
dhul teri charno ki babul
jo maathe pe lagaye
are o jo maathe pe lagaye
unka ek janam kya sau sau
janam safal ho jaye
are o janam safal ho jaye
jiski sewa karne wala
bhav sagar tar jata hai
jiski sewa karne wala
bhav sagar tar jata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
khana peena chhod ke
jo tu apni jaan ganwaye
are o apni jaan ganwaye
ye andher tere baccho se kaise dekha jaye
are o kaise dekha jaye
dil ke tukdo ki khatir
jo mar mar ke jee pata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
jiske pyar ke aage
is duniya ka sar jhuk jata hai
are o jiske pyar ke aage
is duniya ka sar jhuk jata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai
uska naam pita hai jag me
wo babul kahlata hai